maanā  vo  ek  ḳhvāb  thā  dhokā  nazar  kā  thā
us  bevafā  se  rabt  magar  umr-bhar  kā  thā
ḳhushbū  kī  chand  mast  lakīreñ  ubhār  kar
lauTā  udhar  havā  kā  vo  jhoñkā  jidhar  kā  thā
niklā  vo  baar  baar  ghaTāoñ  kī  oT  se
us  se  muāmlā  to  faqat  ik  nazar  kā  thā
tum  muskurā  rahe  the  to  shab  saath  saath  thī
aañsū  gire  the  jis  pe  vo  dāman  sahar  kā  thā
ham  aaj  bhī  ḳhud  apne  hī  saa.e  meñ  ghir  ga.e
sar  meñ  hamāre  aaj  bhī  saudā  safar  kā  thā
sahrā  ke  sar  kī  maañg  hai  ab  tak  vo  ik  lakīr
hāsil  jise  ġhurūr  tirī  rahguzar  kā  thā
kaalī  kiran  ye  guñg  sadāoñ  ke  dā.ere
pahuñchā  kahāñ  'rashīd'  irāda  kidhar  kā  thā