Rasheed Qaisrani

sadiyon se main is aankh ki putli mein chhupa tha

Rasheed Qaisrani

1930-2010
sadiyoñ se maiñ is aañkh kī putlī meñ chhupā thā
palkoñ pe agar mujh ko sajā lete to kyā thā
tū phail gayā tā-ba-abad mujh se bichhaḌ kar
maiñ jism ke zindāñ meñ tujhe DhūñD rahā thā
haañ mujh ko tire surḳh kajāve kī qasam hai
is raah meñ pahle koī ghuñgrū na bajā thā
guzre the mire sāmne tum dosh-e-havā par
maiñ duur kahīñ ret ke Tiile pe khaḌā thā
siine meñ ubharte hue sūraj kā talātum
āñkhoñ meñ tirī Dūbtī rātoñ kā nasha thā
guzrā na udhar se koī patthar kā pujārī
muddat se maiñ us raah ke māthe pe sajā thā
jab vaqt kī dahlīz pe shab kaañp rahī thī
sho.ala sā mire jism ke āñgan se uThā thā
ab jāniye kyā naqsh havāoñ ne banā.e
us ret pe maiñ ne to tirā naam likhā thā
ai dīda-e-hairāñ tū zarā aur qarīb aa
ai DhūñDne vaale maiñ tujhe DhūñD rahā thā
achchhā hai 'rashīd' aañkh bhar aa.ī hai kisī kī
is ḳhushk samundar meñ to maiñ Duub chalā thā
Top Urdushayar.com