Shadan Indauri

hum un se kar gae hain kinara kabhi kabhi

Shadan Indauri

Indore, Madhya Pradesh, India

1912-1971

ham un se kar ga.e haiñ kinārā kabhī kabhī

dil ho gayā hai jaan se pyārā kabhī kabhī

rātoñ ḳhāmushī meñ mire dil pe rakh ke haath

letī hai kā.enāt sahārā kabhī kabhī

is tarah bhī vo aate haiñ āġhosh-e-shauq meñ

girtā hai jaise TuuT ke taarā kabhī kabhī

maiñ ne jahān-e-shauq ko be-jazba-e-numūd

apne dekhne ko sañvārā kabhī kabhī

jis tarah sarsarā.e chaman meñ shamīm-e-gul

is tarah us ne mujh ko pukārā kabhī kabhī

ab koī kyā kare jo ba-sad sa.ī-e-zabt-e-rāz

aa jaa.e lab pe naam tumhārā kabhī kabhī

ab ahl-e-shahr kis liye 'shādāñ' se haiñ ḳhafā

aatā hai shahr meñ vo bechārā kabhī kabhī

Top Urdushayar.com