Siya sachdev

nigah mujhse milane ki un mein tab nahin

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967
nigāh mujh se milāne kī un meñ taab nahīñ
mere savāl kā shāyad koī javāb nahīñ
bahut dinoñ se koī dil meñ iztirāb nahīñ
samāyā āñkhoñ meñ ab aur koī ḳhvāb nahīñ
mirī anā to abhī sar-buland hai mujh meñ
mujhe shikast bhī de kar vo kāmyāb nahīñ
ḳhudā kā shukr hai sharm-o-hayā salāmat hai
vo ā.īna hai magar maiñ bhī be-hijāb nahīñ
bahār aane ko aa.ī samāñ nahīñ badlā
khile hai ḳhaar har ik shāḳh par gulāb nahīñ
yahāñ dimāġh nahīñ dil kī hotī hai ta.alīm
huzūr-e-ishq ke maktab kā kuchh nisāb nahīñ
hijāb meñ hai har ik raaz merī hastī kā
zamāna shauq se paḌh le ye vo kitāb nahīñ
koī batā.e ki sambhleñ to kis tarah sambhleñ
milī haiñ Thokareñ itnī ki kuchh hisāb nahīñ
haañ mere fan se munavvar hai ik jahāñ lekin
maiñ ek zarra-e-ḳhākī huuñ āftāb nahīñ
'siyā' sukūn se baaqī hai jo guzar jaa.e
ab aur rañj sahūñ itnī mujh meñ taab nahīñ
Top Urdushayar.com