Siya sachdev

nigah mujhse milane ki un mein tab nahin

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967

nigāh mujh se milāne un meñ taab nahīñ

mere savāl shāyad koī javāb nahīñ

bahut dinoñ se koī dil meñ iztirāb nahīñ

samāyā āñkhoñ meñ ab aur koī ḳhvāb nahīñ

mirī anā to abhī sar-buland hai mujh meñ

mujhe shikast bhī de kar vo kāmyāb nahīñ

ḳhudā shukr hai sharm-o-hayā salāmat hai

vo ā.īna hai magar maiñ bhī be-hijāb nahīñ

bahār aane ko aa.ī samāñ nahīñ badlā

khile hai ḳhaar har ik shāḳh par gulāb nahīñ

yahāñ dimāġh nahīñ dil hotī hai ta.alīm

huzūr-e-ishq ke maktab kuchh nisāb nahīñ

hijāb meñ hai har ik raaz merī hastī

zamāna shauq se paḌh le ye vo kitāb nahīñ

koī batā.e ki sambhleñ to kis tarah sambhleñ

milī haiñ Thokareñ itnī ki kuchh hisāb nahīñ

haañ mere fan se munavvar hai ik jahāñ lekin

maiñ ek zarra-e-ḳhākī huuñ āftāb nahīñ

'siyā' sukūn se baaqī hai jo guzar jaa.e

ab aur rañj sahūñ itnī mujh meñ taab nahīñ

Top Urdushayar.com