Siya sachdev

sulagte dasht ka manzar hui hain

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967

sulagte dasht manzar huī haiñ

ye āñkheñ hijr meñ banjar huī haiñ

tumhārī aarzū ko mil gayā ghar

hamārī hasrateñ be-ghar huī haiñ

mohabbat meñ taḌap aaheñ aziyyat

ye sab dushvāriyāñ aksar huī hai

nigāhoñ meñ koī tasvīr ubhrī

ye āñkheñ āñsuoñ se tar huī haiñ

nahīñ maiñ vo nahīñ aise na dekho

bahut tabdīliyāñ andar huī hai

sitāroñ par khule haiñ raaz dil ke

tirī bāteñ bas shab-bhar huī haiñ

siyā māyūs bebas ḳhvāhisheñ kuchh

mire apne lahū se tar huī haiñ

Top Urdushayar.com