Siya sachdev

tumne mahsus kahan meri zarurat ki hai

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967
tum ne mahsūs kahāñ merī zarūrat kī hai
mere jazboñ kī kahāñ tum ne himāyat kī hai
haal pūchhā na kisī ne mere aañsū poñchhe
kyā kisī se bhī nahīñ maiñ ne mohabbat kī hai
ḳhush thī maiñ chhoTe se ghar meñ bhī tire pyaar ke saath
maiñ ne kab tujh se kisī mahl kī chāhat kī hai
sochtī huuñ maiñ yahī baiTh ke tanhā.ī meñ
kyā yaqīñ kar ke tirā maiñ ne himāqat kī hai
aaj phir shahr meñ uTThegā koī hañgāma
aaj sach kahne kī ik shaḳhs ne jur.at kī hai
kitnā roī huuñ tire ba.ad tujhe kyā ma.alūm
maiñ ne lamhoñ kī adā is tarah qīmat kī hai
kis tarah miltā 'siyā' saare zamāne se mizāj
baat kuchh aur nahīñ baat tabī.at kī hai
Top Urdushayar.com