Siya sachdev

aarzuon ko ana-gir nahin kar sakte

Siya sachdev

Sitapur, Uttar pradesh, India

1967

ārzūoñ ko anā-gīr nahīñ kar sakte

ḳhvāb ko paaoñ zanjīr nahīñ kar sakte

kyā sitam hai muqaddar meñ likhā hai sab kuchh

phir bhī ham shikva-e-taqdīr nahīñ kar sakte

jab bulā.egī hameñ maut chale jā.eñge

hukm aisā hai tāḳhīr nahīñ kar sakte

ye safar vo hai jo chhūT gayā chhūT gayā

phir use paane tadbīr nahīñ kar sakte

jañg meñ kaise Tikeñge vo bhalā hastī

jo kisī shāḳh ko shamshīr nahīñ kar sakte

aap to ḳhair baḌe aadmī kahlāte haiñ

ham to chhoToñ bhī tahqīr nahīñ kar sakte

sab pe pābandī usūloñ 'siyā' lāzim hai

suḳhan-o-sher ko jāgīr nahīñ kar sakte

Top Urdushayar.com