Sadiya Roshan Siddiqui

kyun bhaTakti sahra mein ghar bhi ek KHaraba tha

Sadiya Roshan Siddiqui

kyuuñ bhaTaktī sahrā meñ ghar bhī ik ḳharāba thā

be-nishāñ udāsī be-amāñ ahāta thā

jab kabhī nazar aayā ḳhvāb meñ nazar aayā

vo jahāñ pe rahtā thā kaun ilāqa thā

dāḳhlī kashākash se bā-ḳhabar to ho jaatā

zehn sochtā kyā thā dil kyā taqāza thā

us ne haal jab pūchhā maiñ bhī muskurā uTThī

ik vahī to lamha thā jab mujhe ifāqa thā

us chashm-e-kam-kam se zaḳhm-e-dil ne jo paayā

gulsitāñ ke phūloñ meñ ik nayā izāfa thā

an-kahī kahānī se in adhūrī sāñsoñ tak

bas ye nīm-jānī merā kul asāsa thā

merī jaan jaisī thī aur jis jagah par thī

aisī saarī bātoñ sher ḳhulāsa thā

'sa.adiya' hairānī aaj tak nahīñ jaatī

kaun thā tamāshā.ī kis vo tamāsha thā

Top Urdushayar.com