Rifat Sultan

bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai

Rifat Sultan

bahāroñ ko chaman yaad aa gayā hai
mujhe vo gul-badan yaad aa gayā hai
lachaktī shāḳh ne jab sar uThāyā
kisī kā bāñkpan yaad aa gayā hai
mirī ḳhāmoshiyoñ par hañsne vaalo
mujhe vo kam-suḳhan yaad aa gayā hai
tumheñ mil kar to ai yazdāñ-parasto
ġhurūr-e-ahraman yaad aa gayā hai
tirī sūrat ko jab dekhā hai maiñ ne
urūj-e-fikr-o-fan yaad aa gayā hai
kisī kā ḳhūb-sūrat sher sun kar
tirā lutf-e-suḳhan yaad aa gayā hai
mile vo ajnabī ban kar to 'rif.at'
zamāne kā chalan yaad aa gayā hai
Top Urdushayar.com