Rifat Sultan

na-ashna-e-dard nahin bewafa nahin

Rifat Sultan

nā-āshnā-e-dard nahīñ bevafā nahīñ
ik āshnā ki haa.e mirā āshnā nahīñ
lā.ūñ jo dil kī baat zabāñ par to kis liye
maiñ jāntā nahīñ huuñ ki tū jāntā nahīñ
jaltā rahā huuñ ziist ke dozaḳh meñ umr bhar
ye aur baat hai mirī koī ḳhatā nahīñ
ik sāġhar-e-hayāt kī ḳhātir tamām umr
vo kaun sā hai zahr jo maiñ ne piyā nahīñ
shāyad darūd-e-fasl-e-bahārāñ qarīb hai
ahl-e-junūñ ne chāk-e-garebāñ siyā nahīñ
husn-e-urūs-e-gul ki jamāl-e-saman-barāñ
duniyā meñ kuchh bhī zauq-e-nazar ke sivā nahīñ
tere harīm-e-nāz kī us ko ḳhabar ho kyā
jo sarhad-e-ḳhayāl se aage gayā nahīñ
'rif.at' jahāñ meñ rasm-e-vafā hī nahīñ rahī
un se to kyā kisī se bhī mujh ko gilā nahīñ
Top Urdushayar.com