Rifat Sultan

jab nashat-e-alam nahin hota

Rifat Sultan

jab nashāt-e-alam nahīñ hotā
jām-e-jam jām-e-jam nahīñ hotā
jaane kyuuñ terī be-ruḳhī se bhī
dil ko ab koī ġham nahīñ hotā
aa gayā huuñ tire huzūr magar
fāsla phir bhī kam nahīñ hotā
vo masarrat talāsh kartā hai
jis ko irfān-e-ġham nahīñ hotā
umr bhar tujh ko dekhne par bhī
zauq-e-nazzāra kam nahīñ hotā
kyā kahūñ dil ko kyā huā 'rif.at'
dāman-e-chashm nam nahīñ hotā
Top Urdushayar.com