Abdullah Javed

ruh ko qalib ke andar jaanna mushkil hua

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
ruuh ko qālib ke andar jānñā mushkil huā
lafz meñ ehsās ko pahchānñā mushkil huā
le uḌī patte havā to shāḳh-e-gul be-bas huī
phuul par saa.e kī chādar tānñā mushkil huā
apne ḳhalvat-ḳhāna-e-dil se jo nikle to hameñ
sab ke ġham meñ apnā ġham bhī jānñā mushkil huā
vaqt ne jab aa.ina ham ko dikhāyā ro paḌe
apnī sūrat aap hī pahchānñā mushkil huā
is mashīnī-ahd meñ kyā zaat kyā irfān-e-zāt
aadmī ko aadmī gardānanā mushkil huā
justujū-e-la.al-o-gauhar se bhī baaz aa.e vo log
ḳhirman-e-ḳhāshāk jin se chhānñā mushkil huā
dil na chhoTā kījiye nā-qadrī-e-ahbāb par
aib-jūyoñ ko hunar pahchānñā mushkil huā
kyā kareñ 'jāved' is bahrūpiyoñ ke daur meñ
gul ko gul kāñTe ko kāñTā mānñā mushkil huā
Top Urdushayar.com