ruuh  ko  qālib  ke  andar  jānñā  mushkil  huā
lafz  meñ  ehsās  ko  pahchānñā  mushkil  huā
le  uḌī  patte  havā  to  shāḳh-e-gul  be-bas  huī
phuul  par  saa.e  kī  chādar  tānñā  mushkil  huā
apne  ḳhalvat-ḳhāna-e-dil  se  jo  nikle  to  hameñ
sab  ke  ġham  meñ  apnā  ġham  bhī  jānñā  mushkil  huā
vaqt  ne  jab  aa.ina  ham  ko  dikhāyā  ro  paḌe
apnī  sūrat  aap  hī  pahchānñā  mushkil  huā
is  mashīnī-ahd  meñ  kyā  zaat  kyā  irfān-e-zāt
aadmī  ko  aadmī  gardānanā  mushkil  huā
justujū-e-la.al-o-gauhar  se  bhī  baaz  aa.e  vo  log
ḳhirman-e-ḳhāshāk  jin  se  chhānñā  mushkil  huā
dil  na  chhoTā  kījiye  nā-qadrī-e-ahbāb  par
aib-jūyoñ  ko  hunar  pahchānñā  mushkil  huā
kyā  kareñ  'jāved'  is  bahrūpiyoñ  ke  daur  meñ
gul  ko  gul  kāñTe  ko  kāñTā  mānñā  mushkil  huā