Abdullah Javed

jaanib-e-dar dekhna achchha nahin

Abdullah Javed

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1931
jānib-e-dar dekhnā achchhā nahīñ
raah shab bhar dekhnā achchhā nahīñ
āshiqī kī sochnā to Thiik hai
āshiqī kar dekhnā achchhā nahīñ
izn-e-jalva hai jhalak bhar ke liye
aañkh bhar kar dekhnā achchhā nahīñ
ik tilismī shahr hai ye zindagī
pīchhe muḌ kar dekhnā achchhā nahīñ
apne bāhar dekh kar hañs bol leñ
apne andar dekhnā achchhā nahīñ
phir na.ī hijrat koī darpesh hai
ḳhvāb meñ ghar dekhnā achchhā nahīñ
sar badan par dekhiye 'jāved' jī
haath meñ sar dekhnā achchhā nahīñ
Top Urdushayar.com