yūñhī  gar  lutf  tum  lete  rahoge  ḳhuuñ  bahāne  meñ
to  bismil  hī  nazar  ā.eñge  har  sū  is  zamāne  meñ
zarā  dam  lo  to  phir  tum  ko  sunā.īñ  dāstāñ  dil  kī
abhī  kuchh  rañg  bharnā  hai  hameñ  ġham  ke  fasāne  meñ
lahū  se  ho  ga.ī  rañgīn  dekho  āstīñ  apnī
hazāroñ  koshisheñ  kiiñ  tum  ne  go  dāman  bachāne  meñ
yahī  kah  kar  asīrān-e-qafas  aañsū  bahāte  haiñ
qafas  meñ  vo  kahāñ  rāhat  milī  jo  āshiyāne  meñ
kuchh  aisā  be-ḳhudī-e-shauq  ne  behis  banāyā  hai
aziyyat  ab  nahīñ  mahsūs  hotī  tiir  khāne  meñ
vo  barham  hoñge  duniyā  jaan  legī  raaz  ulfat  kā
vafā  par  harf  aa  jā.egā  do  aañsū  bahāne  meñ
davā  kā  vaqt  ab  baaqī  nahīñ  hañgām-e-ruḳhsat  hai
sidhāreñ  chāra-gar  ab  der  kyā  hai  niiñd  aane  meñ
balā  se  bijliyāñ  girtī  haiñ  duniyā  par  gireñ  lekin
maza  miltā  hai  un  ko  dam-ba-dam  yuuñ  muskurāne  meñ
munāsib  hai  yahī  'rif.at'  ki  baaz  aao  mohabbat  se
hai  lāzim  jaan  kā  ḳhatra  kisī  se  dil  lagāne  meñ