hote  haiñ  ḳhatm  ab  ye  lamhāt  zindagī  ke
mehmān  haiñ  jahāñ  meñ  ham  aur  do  ghaḌī  ke
ai  be-niyāz  merā  sajda  qubūl  kar  le
maiñ  jāntā  nahīñ  huuñ  ādāb  bandagī  ke
sāñsoñ  ke  taar  tum  ne  ġhaflat  se  toḌ  Daale
naġhme  sunoge  ab  kyūñkar  sāz-e-zindagī  ke
ab  ḳhairiyat  nahīñ  hai  tanzīm-e-do-jahāñ  kī
tevar  batā  rahe  haiñ  us  but  kī  ḳhud-sarī  ke
ra.anā.iyoñ  pe  apnī  nāzāñ  na  hoñ  bahāreñ
anjām-e-ġham  nihāñ  hai  āġhāz  meñ  ḳhushī  ke
hañsnā  thā  chaar  din  kā  ronā  hai  umr  bhar  kā
dastūr  meñ  nirāle  duniyā-e-āshiqī  ke
umr-e-azīz  kā  jab  anjām  khul  chukā  hai
rone  se  fā.eda  kyā  badle  meñ  ab  hañsī  ke
ham  ne  rah-e-vafā  meñ  luT  kar  qadam  qadam  par
chhīne  haiñ  rahzanoñ  se  atvār  rahzanī  ke
jab  tak  na  āzmā.eñ  mushkil  hai  ye  batānā
duniyā  meñ  kaun  'rif.at'  qābil  hai  dostī  ke