log  uTThe  haiñ  tirī  bazm  se  kyā  kyā  ho  kar
aur  ik  ham  haiñ  ki  nikle  bhī  to  rusvā  ho  kar
tīr-e-mizhgāñ  kā  hai  ye  ghaav  bhare  to  kaise
ab  to  nāsūr  banā  zaḳhm  ye  gahrā  ho  kar
shauq-e-dīdār-e-talab  hadd-e-adab  se  jo  baḌhā
husn  ne  tāb-e-nazar  chhīn  lī  jalva  ho  kar
mujh  se  pūchhe  to  koī  kaun  ho  tum  kyā  ho  tum
maiñ  ne  pahchān  kiyā  tum  ko  tumhārā  ho  kar
ḳhaar  kī  tarah  khaTaktā  huuñ  nigāh-e-dil  meñ
gul  pe  qurbān  huuñ  maiñ  bulbul-e-shaidā  ho  kar
rā.egāñ  ḳhud  ko  na  kar  bazm-e-vafā  meñ  ai  dil
yuuñ  na  āñkhoñ  se  Tapak  ḳhūn-e-tamannā  ho  kar
kah  rahe  haiñ  ye  hijābāt-e-tajallī  mujh  se
jalva-e-husn  hai  ḳhud  husn  kā  parda  ho  kar
fitratan  ishq-e-girāñ  gosh-e-azal  hī  se  hai
tālib-e-lutf  do-gūna  hai  vo  bahrā  ho  kar
tum  farishte  hī  sahī  maiñ  huuñ  bahar-hāl  bashar
guftugū  mujh  se  karo  jab  bhī  to  mujh  sā  ho  kar
mudda.ī  ho  jo  vafā  ke  to  sitam  sahte  raho
lab  pe  aa.e  na  koī  harf  bhī  shikva  ho  kar
nit  na.e  rañg  bhare  is  meñ  tasavvur  ke  mire
dil  meñ  tasvīr  rahī  husn-e-sarāpā  ho  kar
kabhī  ban  ban  ke  miTo  misl-e-habāb  ai  'rif.at'
rañgzāroñ  meñ  raho  naqsh-e-kaf-e-pā  ho  kar