Rifat Sethi

naqab-e-ruKH uTha kar husn jab jalwa-figan hoga

Rifat Sethi

naqāb-e-ruḳh uThā kar husn jab jalva-figan hogā

na pūchho kyā qayāmat-ḳhez rañg-e-anjuman hogā

na gul hañste na kaliyāñ muskurātīñ phir bahārāñ meñ

ḳhabar hotī agar un ko ḳhizāñ-ḳhurda chaman hogā

ġharīq-e-bahr honā aadmī ke haq meñ behtar hai

na mamnūn-e-zamīñ hogā na muhtāj-e-kafan hogā

jafā Dhāte raheñge bas yūñhī din-rāt dar-parda

samajh baiThe haiñ vo badnām to charḳh-e-kuhan hogā

safar meñ bhī musāfir ke bahalne ko ba-ḳhāmoshī

kabhī ahbāb qissa kabhī zikr-e-vatan hogā

abhī to patte patte par bahāreñ TuuTī paḌtīñ haiñ

ḳhudā jaane hamāre ba.ad kyā rañg-e-chaman hogā

ajal jab chhīn legī aadmī se tāb-e-goyā.ī

sukūt-e-der-pā hoñToñ pe phir jā-e-suḳhan hogā

kise ma.alūm thā yuuñ dil himmat saath chhoḌegī

fanā ḳhud apne teshe se bil-āḳhir kohkan hogā

ḳhudā ke ghar bhī yuuñ to be-talab jaatā nahīñ koī

bulāoge to haañ 'rif.at' sharīk-e-anjuman hogā

Top Urdushayar.com