hādsa  to  bas  ik  bahāna  thā
ruuh  ko  jism  chhoḌ  jaanā  thā
be-asar  sab  davā.eñ  hotī  rahīñ
zaḳhm  kam-baḳht  bhī  purānā  thā
kaise  kahtā  maiñ  alvidā.a  us  ko
us  ke  dil  meñ  mirā  Thikāna  thā
qatra-qatra  thā  ġham  samundar  meñ
sīpiyoñ  meñ  use  sajānā  thā
muflisī  meñ  akelā  chhoḌ  aa.e
saath  jis  kā  tumheñ  nibhānā  thā
rāh-e-pur-ḳhār  thī  magar  mujh  ko
apnā  dāman  bhī  ḳhud  bachānā  thā
vo  na  samjhā  usuul  kī  ḳhushbū
us  kā  andāz  tājirāna  thā
ham  manāte  rahe  jise  har-dam
us  kī  aadat  meñ  ruuTh  jaanā  thā