hosh  kho  kar  josh  meñ  kuchh  is  tarah  maiñ  bah  gayā
kyā  mujhe  kahnā  thā  us  se  aur  kyā  kyā  kah  gayā
us  kī  jānib  dekh  kar  āḳhir  ye  mujh  ko  kyā  huā
ek  sach  hoñToñ  pe  mere  aate  aate  rah  gayā
jo  asāsa  zindagī  kā  us  ne  joḌā  umr  bhar
maut  kā  sailāb  jab  aayā  to  sab  kuchh  bah  gayā
zulm  kī  buniyād  par  us  ne  banāyā  thā  mahal
sabr  kī  bas  ek  hī  Thokar  se  vo  bhī  Dhah  gayā
tum  ne  to  aañsū  hī  dekhe  haiñ  tumheñ  mālūm  kyā
dard  kā  dariyā  mirī  āñkhoñ  se  ho  kar  bah  gayā
dostī  qaa.em  rahe  har  haal  meñ  ye  soch  kar
dostoñ  ne  jo  diye  vo  zaḳhm  hañs  kar  sah  gayā
zindagī  ne  har  qadam  par  ne.amateñ  taqsīm  kiiñ
aur  'sāhil'  umr  ke  zer-o-zabar  meñ  rah  gayā