jatan kartā to huuñ lekin ye bīmārī nahīñ jaatī
jo mere ḳhuun meñ shāmil hai ḳhud-dārī nahīñ jaatī
ye us kā kaam hai firqa-parastī chhoḌ de kaise
siyāsat kuchh bhī kar le us kī makkārī nahīñ jaatī
vo būḌhā shaḳhs apnī jaan tak nīlām kar baiThā
magar afsos us ke ghar kī dushvārī nahīñ jaatī
sulāyā hai faqat paanī pilā kar us ne bachchoñ ko
haiñ aañsū ḳhushk lekin us kī siskārī nahīñ jaatī
mirī ġham-ḳhvār ye duniyā na ho to ġham nahīñ 'sāhil'
mirī fitrat meñ shāmil hai ye ġham-ḳhvārī nahīñ jaatī