jatan  kartā  to  huuñ  lekin  ye  bīmārī  nahīñ  jaatī
jo  mere  ḳhuun  meñ  shāmil  hai  ḳhud-dārī  nahīñ  jaatī
ye  us  kā  kaam  hai  firqa-parastī  chhoḌ  de  kaise
siyāsat  kuchh  bhī  kar  le  us  kī  makkārī  nahīñ  jaatī
vo  būḌhā  shaḳhs  apnī  jaan  tak  nīlām  kar  baiThā
magar  afsos  us  ke  ghar  kī  dushvārī  nahīñ  jaatī
sulāyā  hai  faqat  paanī  pilā  kar  us  ne  bachchoñ  ko
haiñ  aañsū  ḳhushk  lekin  us  kī  siskārī  nahīñ  jaatī
mirī  ġham-ḳhvār  ye  duniyā  na  ho  to  ġham  nahīñ  'sāhil'
mirī  fitrat  meñ  shāmil  hai  ye  ġham-ḳhvārī  nahīñ  jaatī