justujū  terī  tarah  ġham  tirī  qurbat  kyā  hai
sochtā  rahtā  huuñ  āḳhir  ye  mohabbat  kyā  hai
ham  ne  logoñ  se  bahut  zikr  sunā  thā  lekin
un  ko  dekhā  to  ye  jaanā  ki  qayāmat  kyā  hai
vahshī  duniyā  hai  tirā  pyaar  nahīñ  samjhegī
apne  jazbāt  dikhāne  kī  zarūrat  kyā  hai
ye  bhī  qudrat  kā  karishma  hai  ki  duniyā  meñ  koī
aaj  tak  ye  na  samajh  paayā  ki  qudrat  kyā  hai
tū  ne  duniyā  kī  havas  dil  meñ  basā  rakkhī  hai
tere  īmān  se  baḌh  kar  tirī  daulat  kyā  hai
ik  tirī  zaat  se  qaa.em  hai  vajūd  insāñ  kā
varna  insān  kī  duniyā  meñ  haqīqat  kyā  hai
jism  kā  husn  tirī  ruuh  talak  hai  sāhil
ye  nahīñ  ho  to  ye  miTTī  kī  imārat  kyā  hai