aisā  nahīñ  salām  kiyā  aur  guzar  ga.e
jab  bhī  mile  kisī  se  to  dil  meñ  utar  ga.e
zulm-o-sitam  ke  aage  kabhī  jo  jhuke  nahīñ
un  ke  nasīb  un  ke  muqaddar  sañvar  ga.e
kirdār  bech  dene  kā  anjām  ye  huā
dil  meñ  utarne  vaale  nazar  se  utar  ga.e
kuchh  kaifiyat  ajiib  rahī  apnī  dosto
kī  dostī  kisī  se  to  had  se  guzar  ga.e
bachchoñ  kī  bhuuk  maañ  kī  davā  aur  haath  tañg
ye  marhale  bhī  ham  ko  gunahgār  kar  ga.e
kuchh  zindagī  to  mujh  se  masā.il  ne  chhīn  lī
jo  bach  ga.ī  thī  hādse  barbād  kar  ga.e
'sāhil'  jab  un  ko  koī  Thikāna  nahīñ  milā
ġham  un  ke  saare  mere  hī  dil  meñ  Thahar  ga.e