ye  dard  kā  hai  musalsal  jo  silsila  kyuuñ  hai
Thahar  Thahar  ke  koī  dil  meñ  jhāñktā  kyuuñ  hai
nahīñ  hai  koī  ta.alluq  agar  mirā  tujh  se
to  phir  ye  chehrā  tirā  zard  zard  sā  kyuuñ  hai
fareb  khā  ke  bhī  va.ade  pe  e'tibār  kiyā
subūt  phir  bhī  vafā  kā  vo  māñgtā  kyuuñ  hai
agar  hai  jītnā  maqsad  to  phir  batā.e  koī
vo  jān-būjh  ke  baazī  ko  hārtā  kyuuñ  hai
ajiib  log  haiñ  us  par  savāl  karte  haiñ
kabhī  to  socheñ  ki  āḳhir  vo  ġham-zada  kyuuñ  hai
agar  hai  daur-e-taraqqī  to  daur-e-hāzir  meñ
batāo  mujh  ko  ki  har  samt  karbalā  kyuuñ  hai
hai  ḳhuun  ek  hī  jaisā  ragoñ  meñ  jab  'sāhil'
to  phir  ye  soch  sabhī  kī  judā  judā  kyuuñ  hai