rāh-e-haq  meñ  tujhe  hastī  ko  miTānā  hogā
dekhnā  phir  tirī  Thokar  meñ  zamāna  hogā
rone  vaale  tujhe  hañste  hue  phūloñ  kī  tarah
saarī  duniyā  ko  hunar  apnā  dikhānā  hogā
be-vafā  ho  ke  bhī  tū  itnī  muqaddas  kyuuñ  hai
zindagī  aaj  tujhe  raaz  batānā  hogā
vaqt-e-ruḳhsat  yahī  kahtī  thiiñ  barastī  āñkheñ
paas  mere  tujhe  phir  lauT  ke  aanā  hogā
ek  chiñgārī  ta.assub  kī  nazar  aa.ī  hai
dekhnā  ye  hai  kahāñ  is  kā  nishāna  hogā
apne  maazī  ke  har  ik  ġham  ko  bhulā  de  varna
choT  phir  ubhregī  phir  dard  purānā  hogā
ḳhāmushī  terī  mirī  jaan  liye  letī  hai
apnī  tasvīr  se  bāhar  tujhe  aanā  hogā
zindagī  meñ  tujhe  chalnā  hai  sambhal  kar  'sāhil'
rāste  meñ  tire  kam-zarf  zamāna  hogā