ġhurbat  kā  ab  mazāq  uḌāne  lage  haiñ  log
daulat  ko  sar  kā  taaj  batāne  lage  haiñ  log
tahzīb-e-shahr  kitnī  badal  dī  hai  vaqt  ne
apnī  rivāyatoñ  ko  bhulāne  lage  haiñ  log
allāh  un  kī  aql  kā  pardā  zarā  haTā
phir  apnī  beTiyoñ  ko  jalāne  lage  haiñ  log
had  ho  chukī  hai  ab  to  mire  inkisār  kī
kamtar  samajh  ke  mujh  ko  satāne  lage  haiñ  log
ilzām  saarā  apne  muqaddar  pe  Daal  kar
nākāmiyoñ  ko  apnī  chhupāne  lage  haiñ  log
sachchā.ī  kā  alam  mire  hāthoñ  meñ  dekh  kar
bastī  meñ  kitnā  shor  machāne  lage  haiñ  log
maujoñ  se  laḌte  laḌte  jo  sāhil  tak  aa  gayā
ehsān  us  pe  apnā  jatāne  lage  haiñ  log