ab  haqīqat  lag  rahā  hai  merā  afsāna  mujhe
saarī  duniyā  kah  rahī  hai  terā  dīvāna  mujhe
maiñ  uThā  to  kaun  hoñToñ  se  lagā.egā  unheñ
muddatoñ  DhūñDā  kareñge  jām-o-paimāna  mujhe
ye  mohabbat  kā  asar  hai  yā  mirā  dīvāna-pan
sehn-e-gulshan  sā  nazar  aatā  hai  vīrāna  mujhe
ai  udāsī  kaun  sī  manzil  pe  le  aa.ī  hai  tū
apnā  chehra  bhī  nazar  aatā  hai  begāna  mujhe
TuuTe  paimāne  shikasta  jaam  aur  tanhā.iyāñ
apne  ghar  jaisā  hī  ab  lagtā  hai  mai-ḳhāna  mujhe
jīte-jī  armān  ye  'sāhil'  na  puurā  ho  sakā
mar  ke  shāyad  hī  mayassar  ho  tirā  shāna  mujhe