Tafazzul Husain Khan Kaukab Dehlavi

miT gae hae makin aur makan-e-dehli

Tafazzul Husain Khan Kaukab Dehlavi

miT ga.e haa.e makīñ aur makān-e-dehlī
na rahā naam ko bhī nām-o-nishān-e-dehlī
sahme sahme na raheñ kyūñki muqīmān-e-falak
ki falak hai hadaf-e-tīr-e-fuġhān-e-dehlī
ham to insān haiñ jī kyūñki rahe bin ro.e
ki farishte bhī hue marsiya-ḳhvān-e-dehlī
jaise fāras meñ ḳhulāsa hai zabān-e-shīrāz
vaisī hī hind meñ hai paak zabān-e-dehlī
duur se dekh ke ho kyūñki yaqīñ dillī kā
aa ke dillī meñ ho jab yuuñ hī gumān-e-dehlī
fart-e-kāhīdgī-e-dard se yārab ab to
sab ke sab ho ga.e haiñ piir javān-e-dehlī
is kī vīrānī meñ ik baat hai dekho ab tak
miT ga.e par bhī to baaqī rahī ān-e-dehlī
jasad-e-charḳh na anjum se bane ābla-vār
gar na ho darpai barbādī-e-shān-e-dehlī
bas-ki hañgāma-talab thā ye vahāñ pahle se
fitna-e-hashr bhī hovegā miyān-e-dehlī
jo makīñ rah ga.e be-gor-o-kafan mar mar kar
Dhāñpne par vo gire un kā makān-e-dehlī
'ġhālib'-o-'sāqib'-o-'sālik' hī nahīñ haiñ ġhamgīñ
'kaukab'-e-ḳhasta bhī kartā hai fuġhān-e-dehlī
Top Urdushayar.com