chhū  bhī  to  nahīñ  sakte  ham  mauj-e-sabā  ban  kar
lalchā.ī  nigāhoñ  se  takte  haiñ  gulāboñ  ko
sau  dukh  hameñ  detī  hai  haañ  tishna-labī  lekin
paanī  to  nahīñ  samjhe  ham  log  sarāboñ  ko
afsānoñ  kī  duniyā  meñ  sab  jhuuT  nahīñ  hotā
dil  aur  bhī  uljhegā  paḌhiye  na  kitāboñ  ko
sach  hai  dil-e-dīvāna  ḳhvāboñ  se  bahaltā  hai
har  raat  magar  kaise  bahlā.iye  ḳhvāboñ  ko