ruḳh  havāoñ  ke  kisī  samt  hoñ  manzar  haiñ  vahī
Topiyāñ  rañg  badaltī  haiñ  magar  sar  haiñ  vahī
jin  ke  ajdād  kī  mohreñ  dar-o-dīvār  pe  haiñ
kyā  sitam  hai  ki  bhare  shahr  meñ  be-ghar  haiñ  vahī
phuul  hī  phuul  the  ḳhvāboñ  meñ  sar-e-vādi-e-shab
sub.h-dam  rāhoñ  meñ  jalte  hue  patthar  haiñ  vahī
naav  kāġhaz  kī  chalī  kaaTh  ke  ghoḌe  dauḌe
sho.abda-bāzī  ke  sach  pūchho  to  daftar  haiñ  vahī
bik  ga.e  pichhle  dinoñ  sāhib-e-ālam  kitne
ham  faqīroñ  ke  magar  'ja.afarī'  tevar  haiñ  vahī