Fuzail Jafri

aaKHir charagh-e-dard-e-mohabbat bujha diya

Fuzail Jafri

1936
āḳhir charāġh-e-dard-e-mohabbat bujhā diyā
sar se kisī kī yaad kā patthar girā diyā
DhūñDe janam janam bhī to duniyā na pā sake
yuuñ ham ne us ko apnī ġhazal meñ chhupā diyā
ḳhushbū se us kī jism kī āñgan mahak uThā
kamre ko us ne apnī hañsī se sajā diyā
ye kis ke intizār meñ jhapkī nahīñ palak
ye kis ne mujh ko raah kā patthar banā diyā
kyā kam hai 'ja.afarī' ki mashīnoñ ke shor ne
logoñ ko apne aap se milnā sikhā diyā
Top Urdushayar.com