tez  āñdhī  raat  añdhyārī  akelā  rāh-rau
baḌh  rahā  hai  sochtā  Dartā  jhijaktā  rāh-rau
manzileñ  samteñ  badaltī  jā  rahī  haiñ  roz  o  shab
is  bharī  duniyā  meñ  hai  insān  tanhā  rāh-rau
kuchh  to  hai  jo  shahr  meñ  phirtā  hai  ghabrātā  huā
be-ḳhabar  varna  bhare  jañgal  se  guzrā  rāh-rau
khiḌkiyāñ  khulne  lagīñ  darvāze  vā  hone  lage
jab  bhī  guzrā  raah  se  koī  sajīlā  rāh-rau
ḳhizr  kī  sī  umr  varna  kaise  tanhā  kāTte
be-sahārā  rāstoñ  kā  haiñ  sahārā  rāh-rau
baḳhsh  hī  de  koī  shāyad  gesuoñ  kī  narm  chhāñv
har  na.ī  bastī  meñ  ThoḌī  der  Thahrā  rāh-rau
koī  manzil  āḳhirī  manzil  nahīñ  hotī  'fuzail'
zindagī  bhī  hai  misāl-e-mauj-e-dariyā  rāh-rau