baaqī  sab  kuchh  duniyā  meñ  be-ma.anī  hai
merī  nazar  meñ  ik  tū  hī  lā-sānī  hai
roz  badal  kar  chehre  kyuuñ  dikhlātā  hai
terī  har  sūrat  jānī-pahchānī  hai
saath  rahe  jyuuñ  koī  kināre  nadiyā  ke
qismat  kī  bhī  dekho  kyā  man-mānī  hai
dard  kā  mausam  phir  se  lauTā  hai  shāyad
āñkhoñ  ke  dariyā  par  ḳhuub  ravānī  hai
ġham  aañsū  tanhā.ī  shikve  bechainī
is  duniyā  meñ  sab  kī  ek  kahānī  hai