be-niyāzī  ke  silsile  meñ  huuñ
maiñ  kahāñ  ab  tire  nashe  meñ  huuñ
hijr  terā  mujhe  satātā  hai
aur  baaqī  to  bas  maze  meñ  huuñ
DhūñDh  mat  in  udaas  āñkhoñ  meñ
ġhaur  kar  tere  qahqahe  meñ  huuñ
vo  mujhe  ab  bhī  chāhtā  hogā
maiñ  abhī  tak  muġhālate  meñ  huuñ
har  taraf  mahfileñ  ḳhayāloñ  kī
ishq  ke  shāhī  mahkame  meñ  huuñ
toḌ  kar  hī  nikāl  le  koī
qaid  maiñ  apne  dā.ere  meñ  huuñ
us  ko  manzil  bhī  mil  ga.ī  apnī
aur  maiñ  huuñ  ki  rāste  meñ  huuñ