zindagī  jab  bhī  āzmātī  hai
kuchh  na  kuchh  to  hameñ  sikhātī  hai
har  haqīqat  samajh  meñ  aatī  hai
maut  jab  aa.ina  dikhātī  hai
ek  nannhī  parī  hai  āñgan  meñ
jo  mire  ghar  ko  ghar  banātī  hai
koī  pāgal  lahar  kināre  par
jaane  kyā  likhtī  hai  miTātī  hai
sar-phirī  ho  ga.ī  hai  ik  laḌkī
vo  havā  meñ  diyā  jalātī  hai