Anvar Mahmood Khalid

shahr-dar-shahr fazaon mein dhuan hai ab ke

Anvar Mahmood Khalid

Gujrat, Punjab, Pakistan

shahr-dar-shahr fazāoñ meñ dhuāñ hai ab ke
kis se kahiye ki qayāmat kā samāñ hai ab ke
aañkh rakhtā hai to phir dekh ye sahme chehre
kaan rakhtā hai to sun kitnī fuġhāñ hai ab ke
chand kaliyoñ ke chaTakne kā nahīñ naam bahār
qāfila kal kā chalā thā to kahāñ hai ab ke
thī magar itnī na thī kor zamāne kī nazar
ek qātil pe masīhā kā gumāñ hai ab ke
itnā sannāTā hai kuchh bolte Dar lagtā hai
saañs lenā bhī dil o jaañ pe girāñ hai ab ke
hoñT sil jaa.eñ to kyā aañkh to raushan hai mirī
chashm-e-ḳhūñ-nāb kā har ashk ravāñ hai ab ke
khul ke kuchh kah na sakūñ chup bhī magar rah na sakūñ
kis qadar zaiq meñ ḳhālid mirī jaañ hai ab ke
Top Urdushayar.com