chheḌā  hai  nayā  naġhma  hayāt-e-abadī  ne
is  baar  tabassum  na  kiyā  sun  ke  kalī  ne
lafzoñ  meñ  utarne  kā  hunar  siikh  rahā  huuñ
ḳhatre  meñ  haiñ  alfāz  ke  sīnoñ  meñ  dafīne
vo  haiñ  ki  bhaTakte  haiñ  abhī  pyaas  ke  maare
ham  haiñ  ki  Dubo  aa.e  sarāboñ  meñ  safīne
suntā  huuñ  taḌapte  hue  paanī  kā  faqat  shor
hassās  banāyā  hai  mujhe  tishna-labī  ne
aflāk  ke  manzar  haiñ  mire  sāmne  uryāñ
baḳhshī  ye  bulandī  mujhe  be-bāl-o-parī  ne
shādāb  nazar  aate  haiñ  ashjār  har  ik  samt
kyā  shahr  meñ  jañgal  kī  havā  laa.ī  kisī  ne
pahlū  meñ  dhaḌaktā  hai  taḌaptā  hai  shab-o-roz
bechain  kiye  rakkhā  hai  mujh  ko  mire  jī  ne
jo  rāste  jaate  haiñ  tire  arsh  kī  jānib
vo  raste  bhī  dikhlā.e  mujhe  dar-ba-darī  ne