jism  dīvār  hai  dīvār  meñ  dar  karnā  hai
ruuh  ik  ġhaar  hai  is  ġhaar  meñ  ghar  karnā  hai
ek  hī  qatra  to  hai  ashk-e-nadāmat  kā  bahut
kaun  se  dasht-o-bayābān  ko  tar  karnā  hai
jalte  rahnā  bhī  hai  dīvār  pe  fānūs  ke  bin
be-zerah  ma.arka-e-bād  bhī  sar  karnā  hai
ḳhaak  ho  jaane  pe  ai  ḳhāk-basar  kyuuñ  ho  ba-zid
kyā  tumheñ  dosh-e-havā  par  bhī  safar  karnā  hai
ab  in  āñkhoñ  meñ  vo  dariyā  kahāñ  vo  chashme  kahāñ
chand  qatre  haiñ  jinheñ  lāl-o-gohar  karnā  hai
fat.h-e-gulzār  mubārak  ho  magar  yaad  rahe
abhī  nā-dīda  bayābān  bhī  sar  karnā  hai
kuchh  to  hai  rañg  sā  ehsās  ke  parde  meñ  nihāñ
jis  ko  manzar  kī  tarah  vaqf-e-nazar  karnā  hai
gul-e-nau-ḳhez  ko  tesha  bhī  banā  de  yā-rab
sañg-e-lab-basta  ke  siine  meñ  asar  karnā  hai
ek  neze  pe  lagāne  haiñ  ka.ī  meva-e-sar
ek  Tahnī  ko  samar-dār  shajar  karnā  hai