ik  falak  aur  hī  sar  par  to  banā  sakte  haiñ
kurra-e-arz  ko  behtar  to  banā  sakte  haiñ
ruuh  meñ  jis  ne  ye  dahshat  sī  machā  rakkhī  hai
us  kī  tasvīr  gumāñ  bhar  to  banā  sakte  haiñ
ashk  se  ḳhaak  huī  tar  yahī  bas  kaafī  hai
ek  be-jān  sā  paikar  to  banā  sakte  haiñ
ham  agar  ahl  nahīñ  peḌ  ke  phal  khāne  ke
shāḳh-e-sarsabz  ko  ḳhanjar  to  banā  sakte  haiñ
sach  hai  ham  girya-kunāñ  kuchh  bhī  nahīñ  kar  sakte
regzāroñ  ko  samundar  to  banā  sakte  haiñ
ātish  o  nuur  se  bijlī  ke  raheñ  kyuuñ  mahrūm
ham  sar-e-dasht  nayā  ghar  to  banā  sakte  haiñ
garche  parvāz  kī  quvvat  nahīñ  ḳhvāhish  hai  bahut
ham  ḳhayālāt  ko  shahpar  to  banā  sakte  haiñ
lāla-gūñ  manzar-e-shādāb  sarāboñ  meñ  bhī
qulzum-e-ḳhūñ  ho  mayassar  to  banā  sakte  haiñ