ik  dhuāñ  uTh  rahā  hai  āñgan  se
haiñ  abhī  kuchh  charāġh  raushan  se
is  meñ  shāmil  hai  bū-e-aflākī
ye  havā  aa  rahī  hai  kis  ban  se
dene  aayā  huuñ  fat.h  kā  muzhda
bhaag  aayā  nahīñ  huuñ  maiñ  ran  se
manziloñ  kī  bhī  aarzū  hai  bahut
Dar  bhī  lagtā  hai  mujh  ko  ran-ban  se
ab  bhī  kyā  raat  ke  andhere  meñ
shola  uThtā  hai  gulshan-e-tan  se
surḳh-rū  ishq  kī  badaulat  huuñ
ki  maiñ  is  aag  meñ  huuñ  bachpan  se
ye  zamāna  hai  chāplūsī  kā
ham  to  vāqif  nahīñ  isī  fan  se
mujh  se  pahchān  terī  qaa.em  hai
maiñ  tumheñ  chāhtā  huuñ  tan-man  se