hamārī  tarah  hurūf-e-junūñ  ke  jaal  meñ  aa
kabhī  to  jalva-gah-e-nūn-jīm-dāl  meñ  aa
abhī  to  gard  zamāne  kī  uḌ  rahī  hai  yahāñ
abhī  na  misl-e-sabā  kūcha-e-ḳhayāl  meñ  aa
guzar  na  jaa.e  kahīñ  ḳhāmushī  meñ  ye  shab  bhī
murāqiba  to  huā  ab  zarā  jalāl  meñ  aa
tujhe  bhī  aaj  koī  ruup  baḳhshtā  hī  chalūñ
tū  sañg  hai  to  mire  dast-e-bā-kamāl  meñ  aa
yahāñ  zavāl  kā  manzar  bhī  lā-zavāl  nahīñ
yaqīñ  nahīñ  to  bayābān-e-māh-o-sāl  meñ  aa