abr  huuñ  aur  barasne  ko  bhī  tayyār  huuñ  maiñ
tujh  ko  sairāb  karūñgā  ki  dhuāñ-dhār  huuñ  maiñ
ab  to  kuchh  aur  hī  ḳhatrāt  se  do-chār  huuñ  maiñ
apne  hī  sar  pe  laTaktī  huī  talvār  huuñ  maiñ
tab  maiñ  ik  aañkh  thā  jab  to  koī  manzar  bhī  na  thā
aaj  tasvīr  hai  to  naqsh-ba-dīvār  huuñ  maiñ
hijr  ke  ba.ad  ke  manzar  kā  kināya  huuñ  koī
ik  dhuāñ  sā  pas-e-dīvār-e-shab-e-tār  huuñ  maiñ
merā  sarmāya  to  bas  manzar-e-be-manzarī  hai
shahr-e-be-aks  kā  ik  ā.īna-bardār  huuñ  maiñ
Daal  ke  sar  ko  girebāñ  meñ  laraz  uThtā  huuñ
muTThī-bhar  ḳhaak  nahīñ  ek  siyah  ġhaar  huuñ  maiñ
dekh  shāmil  hī  nahīñ  is  meñ  koī  mere  sivā
dekh  kis  qāfila-e-zāt  kā  sālār  huuñ  maiñ
bas  yahī  hai  mire  hone  kā  javāz  aur  surāġh
ik  na  hone  se  miyāñ  bar-sar-e-paikār  huuñ  maiñ