dayār-e-jism  se  sahrā-e-jāñ  tak
uḌuuñ  maiñ  ḳhaak  sā  āḳhir  kahāñ  tak
kuchh  aisā  ham  ko  karnā  chāhiye  ab
utar  aa.e  zamīñ  par  āsmāñ  tak
bahut  kam  fāsla  ab  rah  gayā  hai
biphartī  āñdhiyoñ  se  bādbāñ  tak
mayassar  aag  hai  gul  kī  na  bijlī
andhere  meñ  paḌe  haiñ  āshiyāñ  tak
ye  jañgal  hai  nihāyat  hī  pur-asrār
qadam  rakhtī  nahīñ  is  meñ  ḳhizāñ  tak
vahīñ  tak  kyuuñ  rasā.ī  hai  hamārī
nuqūsh-e-pā  zamīñ  par  haiñ  jahāñ  tak
nikal  aao  hisār-e-ḳhāmushī  se
jo  dil  meñ  hai  vo  laao  bhī  zabāñ  tak
yahāñ  shaitāñ  pa  hai  ik  larza  taarī
nahīñ  uThtā  charāġhoñ  se  dhuāñ  tak