havā  meñ  jo  ye  ek  namnākī  hai
sadā  tez  raftār  dariyā  kī  hai
qadam  rok  mat  pīchhe  muḌ  ke  na  dekh
ye  āvāz  kam-baḳht  duniyā  kī  hai
makāñ  to  mirā  lā-makāñ  ho  gayā
shikāyat  magar  tañgi-e-jā  kī  hai
bhaḌaktā  hai  shola  sā  rañg-e-sukūt
qalandar  ke  lahje  meñ  be-bākī  hai
paḌā  rah  badan  ke  darīche  na  khol
mirī  uñgliyoñ  meñ  havasnākī  hai
shajar  se  lipaT  kar  na  ro.egī  ye
havā  jo  chalī  hai  vo  sahrā  kī  hai
mire  shīsha-e-lā-zamāñ  par  abhī
bahut  gard  imroz  o  fardā  kī  hai
chamak  aañkh  meñ  hairatoñ  kī  nahīñ
bas  ik  dhuup  tāb-e-tamāshā  kī  hai