jū-e-kam-āb  se  ik  tez  sā  jharnā  huā  maiñ
terī  jānib  huuñ  ravāñ  shor  machātā  huā  maiñ
mujh  se  ḳhālī  nahīñ  ab  ek  bhī  zarra  hai  yahāñ
dekh  ye  tañg  zamīñ  aur  ye  phailā  huā  maiñ
dekh  kar  vus.at-e-sahrā-e-tapāñ  larzāñ  huuñ
sāhil-e-dīda-e-namnāk  pe  Thahrā  huā  maiñ
pā-ba-zanjīr  idhar  tez  huā  aur  udhar
ḳhaak  ke  taḳht  pe  sultān  sā  baiThā  huā  maiñ
koī  ḳhurshīd  sā  duniyā  pe  chamaktā  huā  tū
kisī  dīvār  se  saaya  sā  nikaltā  huā  maiñ