ai  dil-e-zār  kahīñ  niiñd  na  ho  taarī
chashm-e-darvesh  bhī  ḳhvāboñ  se  nahīñ  aarī
jism  kā  dasht  bhī  sunsān  hai  barsoñ  se
mulk-e-dil  par  bhī  nahīñ  ruuh  kī  sardārī
chāñd  se  kam  na  thī  ham  hijr  ke  māroñ  ko
us  shab-e-tār  meñ  mauhūm  sī  chiñgārī
yak-ba-yak  kaun  mirī  fikr  meñ  dar  aayā
nahr-e-ḳhushbū  sī  bayābāñ  meñ  huī  jaarī
raakh  ke  Dher  meñ  sho.ala  hai  koī  raqsāñ
mere  andar  hai  abhī  tak  koī  inkārī
zulf-e-pechāñ  tirī  zanjīr  banegī  kab
kab  amal  meñ  mirī  aa.egī  giraftārī