siyāh  dasht  kī  jānib  safar  dobāra  kiyā
na  jaane  qaaf  kī  pariyoñ  ne  kyā  ishāra  kiyā
na  tez  o  tund  havā  se  milī  najāt  mujhe
na  maiñ  ne  saltanat-e-ḳhāk  se  kināra  kiyā
falak  kī  samt  nigāheñ  uThāne  se  pahle
zamīñ  ke  saare  manāzir  ko  paara  paara  kiyā
siyāh  ban  meñ  chamaktā  huuñ  misl-e-dīda-e-sher
ye  kis  ne  zarra-e-āvāra  ko  sitāra  kiyā
ḳhumār-e-ḳhvāb  utarne  meñ  thoḌī  der  lagī
phir  us  ke  baad  baḌe  shauq  se  nazāra  kiyā
kisī  ne  muuñd  ke  āñkhoñ  ko  phir  se  khol  diyā
ye  kis  ne  aap  ko  duniyā  pe  āshkārā  kiyā
hamāre  hone  ke  manzar  kī  bhī  karāmat  dekh
tumhārī  chashm  ko  favvāra-e-sharāra  kiyā
nashe  meñ  naqsha  riyāsat  hī  kā  bigāḌ  diyā
ye  kyā  kiyā  ki  samarqand  ko  buḳhārā  kiyā