ye  jo  har  samt  tire  neze  kī  shohrat  hai  bahut
sach  to  ye  hai  ki  mare  sar  kī  badaulat  hai  bahut
chashma-e-chashm  ke  paanī  se  nahīñ  hogā  kuchh
ḳhāk-e-sahrā  hai  ise  ḳhuuñ  kī  zarūrat  hai  bahut
maiñ  to  ik  aañkh  huuñ  āvāz  se  mujh  ko  na  Darā
ye  tire  jalva-e-sad-rang  kī  dahshat  hai  bahut
but-e-ma.anī  bhī  ma.ānī  ke  pujārī  bhī  ga.e
aa  ki  ab  ma.abad-e-alfāz  meñ  ḳhalvat  hai  bahut
ḳhaak  hī  shahr-o-bayābāñ  kī  agar  daulat  hai
to  ye  āvāra  tirā  sāhab-e-sarvat  hai  bahut